Monday 28 November 2016

How to find Cash available or not in ATM ( ATM me pese hai ya nahi Kese Pata Kare )

Note bandi ke baad se Desh note ke liye chakkar kaat raha hai. har aadmi pareshan hai. Modi ji kehte hai muje pachas din ka time dho me sab teek kartha hu. Ab aam aadmi kitna sahe. Banke wale bhi pareshan aur sabse jyada janta pareshan. chalo jobhi ho ek accha badlav ki apepsha karta hu.

Desh me ek nayi badlav ki jarurat thi jo ki notebandi ke roop me sabke samne hai. Corruption karne walo ki kher nahi. Kali kamayi karne walo tumara mu kala, Tum logo ko hargiz nahi baksha jayega. Aam aadmi pareshan hai.

Ham ye nahi keh sakte ki notebandi kitna sahi hai or kitna galat. lekin iss decision ko aam aadmi ka samarthan milraha hai. aur ek aur jaha aam aadmi pareshan hokar bhi line pe kada hai. wahi congress aur other parties desh bhar me hungame kar rahe hai. ye bilkul bhi teek nahi hai.

Jaha tak me manta hu logo ko, pure desh ko modi ka sath dena chahiye. kul milakar yehi kehsakte hai ki thoda bahut pareshani jelni hi padegi aur haalat sudharne tak kam se kam karcha karni chahiye. ye tho mera apna vichar hai.

Ab me apko ek website ke baare me batata hu joki ye batata hai ki ATM me pese hai ya nahi :-


Add caption


Agar aap line pe nahi lagna chahte to ek website hai jo apko ye bata sakta hai ki ATM me Cash hai ya ni. Is website ka naam ha : http://cashnocash.com Is website pe jakar apne shetra ka pin code dale. Apke aas pass jitne bhi ATMs hai waha pe cash hai ya nahi apko pata chal jayega.

Aur aap ATM se pese nahi nikalna chahte tho dusra option hai PAYTM.COM Is website pe jakar ek wallet banana hoga aur wallet bananeke baad app apne Bank account se is wallet pe kuch pese jama kare aur iske baad aap online karidhari , recharge, aadi kar sakte hai bina kisi bank ke chakkar kate.

agar apke pass bhi pesa nikale ka koi tarika hai tho neeche comment section me bataye. ye post agar apko pasand aaye tho apne dosto ko share karna na bhoole, dhanyawadh.

No comments: