Showing posts with label Blogging se pese kamaye. Show all posts
Showing posts with label Blogging se pese kamaye. Show all posts

Friday, 23 September 2016

Blogging Se Pese Kese Kamaye

Aaj internet par bahut se jobs available hai, unmese ek job hai Blogging. Jee ha dosto blogging se app lakho rupee kama sakte hai. Bas jarurat hai Blog ko setup karne ki. Me is post me apko Blogging se pese kese kamate hai iske bare me bataonga.
online money making


Jese ki aap jante hai Blogging ka matlab hota hai useful content likhna, user ki problems ka solution apne blog ke madhyam se karna. Apne skills ko logo tak pahuchana aur ise share karna. Blogging se aap famous ho sakte hai. aur online duniya me apka ek alaga hi pagchaan banega. Aur Blogging se app online money kama sakte hai.

Internet par lakho log kuch na kuch search karte hai. Agar apka blog unlogo ki problems ko solve kar sakte hai tho apke blog par log visit karenge aur isse apki site par traffic badegi. Is traffic ka phayada ye hai ki isse aap apne blog par advertisement laga sakte hai.

Internet par bahut sare add networks hai aap unme se apni pasand ki add company choose kar sakte hai. Add lagane se pehle apko apni blog ko popular karna padega. aur popular karne ki bahut sare tarike hai. Iske baare me apko agali post me bataonga. apko thoda bahut SEO ka gyan hona chahiye aur aap apne blog me accha content publish kijiye. Jitna badiya apka content hoga utna hi appka blog famous hoga.

Popular add advertising companies me sabse badiya hai Google ka Adsense. Ye bahut accha pese deti hai. Par Google adsense bahut hi strict hai. App apni blog par koi bhi illegal kaam nahi kar sakte. apka blog google ke policy ke anusaar honi chahiye. agar aap google ki policy ko follow karoge tho app google adsense se lakho rupiye kama sakte hai.

Add ke alava bahut sare aise tarike hai jisse app pesa kama sakte ho. app affiliate marketing kar sakte hai. affilite marketing ka matlab hai dusre companies ka product apne site par promote karna. jab koi user apke website se us product ko kharidenge tho apko company ki taraph se commison milega.
App Amzaon, flipcart, Ebay aadhi se judkar bhi kamai kar sakte hai.
Agar app photographer hai to apne photos ko online sell kar sakte ho.

Agar aap teacher hai tho online study tutorial banake apne site par daal sakteho. Iske alava bahut se aur bhi tarike hai jiske baare me apne agle post me bataonga.

Daily ek unique and fresh content publish kijiye. aur us post me subject ke according illustration bhi hona chahiye. chahe tho aap usme audio aur video bhi laga sakte hai. Jab apki blog par traffic badegi tab app apne blog se income kar sakte hai.

Dosto pese kamane ke liye apko kisi ek subject ka acha gyan honi chahiye. tab hi aap online money earn kar paayenge. Ek cheej yaha ye dyan dena hai ki isse app ratho rath pese nahi kama sakte appko 6 mahine se lekar ek saal bhi lag sakta hai blog ko popular karne me. Ye apke mehnat aur content par depend karega. App jitna badiya content dalenge utna apko traffic milega.

Appko jis cheej me interest hai app us cheej ke baare me lik sakthe hai. Koi bhi subject lelejiye aur likhna chalu kar dijiye. agar appko blog likhana pasand hai tho video bana sakte hai aur uss video ko Youtube par upload kar sakte hai. Jab apka channel famous ho jayega tab app isme add laga sakte hai aur bahut sare pese kama sakte hai.

Is prakar app ghar bete blogging karke pe pese kama sakte hai. Aasha karta hu ye post apko pasand aaye hogi. agar apko ko bhi online pesa kamaneka koi tarika pata hai tho comment section me bataye. Aur is post ko apne dosto ko bhi share karna naa bhoole.

By : BlogSagar